mere wajud ka aaina saf usi ne kiya usi ko karna tha aakhir muaf usi ne kiya ye mera gosha-e-dil pak usi ke dam se hai ki raat-din ka yahan etakaf usi ne kiya bina batae wo dil mein sama bhi sakta hai utar ke dil mein ye sab inkishaf usi ne kiya main us ke ahd pe ab bhi hun muntazir us ka khud apne ahd se bhi inhiraf usi ne kiya waraq waraq mein ibarat hi padhta rahta tha main lafz-bin tha mujhe mushigaf usi ne kiya