mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai kisi mazar pe chhai hai khak muflis ki kisi mazar ka patthar chamakta rahta hai ye kaisi rasm-e-halakat bhi pa gai hai riwaj ye kaise khun ka manzar chamakta rahta hai meri nigah ko manzil ki raushni hai aziz bala se mel ka patthar chamakta rahta hai jo uth ke khak se parwaz ka ujala bana usi parinde ka shahpar chamakta rahta hai mita ke hausle baatil ke aao su-e-haq qadam badhao ki rahbar chamakta rahta hai nujum shams qamar aur jalne lagte hain sukhan-waron mein jab 'azhar' chamakta rahta hai