meri aankhon se zahir khun-fishani ab bhi hoti hai nigahon se bayan dil ki kahani ab bhi hoti hai surur-ara sharab-e-arghawani ab bhi hoti hai mere qadmon mein duniya ki jawani ab bhi hoti hai koi jhonka to lati ai nasim atraf-e-kanan tak sawad-e-misr mein ambar-fishani ab bhi hoti hai wo shab ko mushk-bu pardon mein chhup kar aa hi jate hain mere khwabon par un ki mehrbani ab bhi hoti hai kahin se hath aa jae to hum ko bhi koi la de suna hai is jahan mein shadmani ab bhi hoti hai hilal o badr ke naqshe sabaq dete hain insan ko ki nakaami bina-e-kaamrani ab bhi hoti hai kahin aghyar ke khwabon mein chhup chhup kar na jate hon wo pahlu mein hain lekin bad-gumani ab bhi hoti hai samajhta hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zahid meri aankhon ki rangat arghawani ab bhi hoti hai wo barsaten wo baaten wo mulaqaten kahan hamdam watan ki raat hone ko suhani ab bhi hoti hai khafa hain phir bhi aa kar chhed jate hain tasawwur mein hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai zaban hi mein na ho tasir to main kya karun naseh teri baaton se paida sargirani ab bhi hoti hai tumhaare gesuon ki chhanw mein ek raat guzri thi sitaron ki zaban par ye kahani ab bhi hoti hai pas-e-tauba bhi pi lete hain jam-e-ghuncha-o-gul se bahaaron mein junun ki mehmani ab bhi hoti hai koi khush ho meri mayusiyan fariyaad karti hain ilahi kya jahan mein shadmani ab bhi hoti hai buton ko kar diya tha jis ne majbur-e-sukhan 'akhtar' labon par wo nawa-e-asmani ab bhi hoti hai