meri baat par jo chalte to kuchh aur baat hoti

meri baat par jo chalte to kuchh aur baat hoti
jo rawish na tum badalte to kuchh aur baat hoti

rah-e-kaenat-e-gham mein mera sath chhodna kya
mere sath sath chalte to kuchh aur baat hoti

pas-e-parda allah allah ye tajalliyon ka aalam
wo hijab se nikalte to kuchh aur baat hoti

sar-e-hashr wo to kahiye unhen dekh ke pareshan
jo bayan na hum badalte to kuchh aur baat hoti

ye charagh-e-azm-o-himmat yun jale bhi to jale kya
agar aandhiyon mein jalte to kuchh aur baat hoti

jo piye hain main ne aansu wo badal ke apni manzil
teri aankh se nikalte to kuchh aur baat hoti

wo nazar ki gardishon ko jo ba-nam-e-mai-gusari
mere jam se badalte to kuchh aur baat hoti

jo shua-e-fikr-o-fan se mere wadi-e-adab mein
nae aaftab dhalte to kuchh aur baat hoti

hamein ai 'kamal' aakhir koi tha jo tha sanbhaale
hamin gir ke khud sanbhalte to kuchh aur baat hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close