meri mahdud basarat ka natija nikla aasman mere tasawwur se bhi halka nikla roz-e-awwal se hai fitrat ka raqib aadam-zad dhup nikli to mere jism se saya nikla sar-e-dariya tha charaghan ki ajal raqs mein thi bulbula jab koi tuta to sharara nikla baat jab thi ki sar-e-sham farozan hota raat jab khatm hui subh ka tara nikla muddaton baad jo roya hun to ye sochta hun aaj to sina-e-sahra se bhi dariya nikla kuchh na tha kuchh bhi na tha jab mere aasar khude ek dil tha so kai jagah se tuta nikla log shahpara-e-yak-jai jise samjhe the apni khalwat se jo nikla to bikharta nikla mera isar mere zoam mein be-ajr na tha aur main apni adalat mein bhi jhuta nikla main to samjha tha bahut sard hai zahid ka mizaj us ke andar to qayamat ka tamasha nikla wahi be-ant khala hai wahi be-samt safar mera ghar mere liye aalam-e-baala nikla zindagi ret ke zarraat ki ginti thi 'nadim' kya sitam hai ki adam bhi wahi sahra nikla