meri udasi mere darmiyan band karo koi saliqe se ye itr-dan band karo padha raha hun main bachchon ko karbala ka nisab tum apni tishna-labi ka bakhan band karo zara samajhne ki koshish karo mere ashko wo aaj khush hai tum apni zaban band karo main ek shart pe raazi hun qaid hone ko isi qafas mein mera aasman band karo mujhe akele mein karni hain khud se kuchh baaten ye mera hukm hai diwaro kan band karo ghazal mein lane se gham aur badh gaya hai 'charagh' shuter girao sukhan ki dukan band karo