mili hai rahat hamein safar se

mili hai rahat hamein safar se
thakan to le kar chale the ghar se

abhi palak par palak na baithi
ye khwab aane lage kidhar se

falak pe kuchh der chand thahra
widaa lete hue sahar se

tawil nowel mein zindagi ke
tamam qisse hain mukhtasar se

wo dekhte dekhte hi ek din
utar gaya tha meri nazar se

usi gali mein nahin gae bas
guzar gae hum idhar udhar se

guzar-basar ki hai koi surat?
ye sirf hogi guzar-basar se

dhuen se 'atish' jalengi aankhen
jale nahin hum is ek dar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close