mili hawaon mein udne ki wo saza yaro ki main zamin ke rishton se kat gaya yaro wo be-khayal musafir mein rasta yaro kahan tha bas mein mere us ko rokna yaro mere qalam pe zamane ki gard aisi thi ki apne bare mein kuchh bhi na likh saka yaro tamam shahr hi jis ki talash mein gum tha main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaro jo be-shumar dilon ki nazar mein rahta tha wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaro janab-e-'mir' ki khud-gharziyon ke sadqe mein miyan 'wasim' ke kahne ko kya bacha yaro