milte julte hain yahan log zarurat ke liye

milte julte hain yahan log zarurat ke liye
hum tere shahr mein aae hain mohabbat ke liye

wo bhi aakhir teri tarif mein hi kharch hua
main ne jo waqt nikala tha shikayat ke liye

main sitara hun magar tez nahin chamkunga
dekhne wale ki aankhon ki suhulat ke liye

tum ko batlaun ki din bhar wo mere sath raha
han wahi shakhs jo mashhur hai ujlat ke liye

sar jhukae hue khamosh jo tum baithe ho
itna kafi hai mere dost nadamat ke liye

wo bhi din aae ki dahliz pe aa kar 'azhar'
panw rukte hain mere teri ijazat ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close