misal apni badi be-nazir rakhta hun main apne aap ko khud ka asir rakhta hun yun apne aap ko logo haqir rakhta hun khuda gawah ki raushan zamir rakhta hun unhen yaqin hai meri kaman mein rahte hain achuk ilm ke tarkash mein tir rakhta hun main zahira mein hun har chand muflis-o-nadar dil-o-nigah ko lekin asir rakhta hun na jaane kaun si manzil pe maut aa jae khuda hi jaane kahan ka khamir rakhta hun dil-o-dimagh se karta hun faisle apne main apne azm ko 'mahmud' mir rakhta hun