mita diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-khud-ru gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh pahunch ke chashma-e-haiwan pe todta hai subu mera sabucha ghanimat hai is zamane mein ki khanqah mein khali hain sufiyon ke kadu main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula ki dil se badh ke hai meri nigah be-qabu agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wuzu jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu