miyan-e-kar-e-fan lafzon ki qismat jag uthti hai ghazal takhliq karta hun mohabbat jag uthti hai bahut masrur rahta hun bahut chehra sajata hun magar aaine mein ek aur surat jag uthti hai main kitni bar duniya taj ke ja baitha hun goshe mein magar har bar duniya ki zarurat jag uthti hai ajab dekha karishma lafz ki bazigari ka bhi sukhan madum ho jata hai shohrat jag uthti hai mohabbat is tarah to munqalib hote na dekhi thi zara be-e'tibari ho to nafrat jag uthti hai