miyan sabr-azmai ho chuki bas milo ab bewafai ho chuki bas bahaar-e-khud-numai ho chuki bas jahan chhuti hawai ho chuki bas yahi hai us ki gar begana-wazai to hum se aashnai ho chuki bas bharosa kya hamara ashk ki bund jahan mizhgan par aai ho chuki bas phanse sayyaad ke phande mein be-tarah hamari ab rihai ho chuki bas na mil hajjam-e-rukhsar us ke har-dam mundaya khat safai ho chuki bas ada mein wan ada niklin hain lakhon main samjha be-adai ho chuki bas dila mat dida-e-khun-bar ko ponchh har ek ungli hinai ho chuki bas yahi darban pe hai qadghan to yaro saba ki wan rasai ho chuki bas ghazal ai 'mushafi' ye 'mir' ki hai tumhaari mirzai ho chuki bas