mizaj-e-gham samajhta kyun nahin hai mera idrak mujh sa kyun nahin hai garajta hai barasta kyun nahin hai yahan baadal bhi sachcha kyun nahin hai kahan tak aainon ko hum badalte hamara kuchh bhi achchha kyun nahin hai nahin sunta khari ek baat koi khara sikka bhi chalta kyun nahin hai safar jari hai aur main kis se puchhun koi rasta bhi sidha kyun nahin hai tajjub hai yahan us shahr mein ab kisi kandhe pe chehra kyun nahin hai wo sagar hai agar tu kyun hai pyasa wo gagar hai to bharta kyun nahin hai bahut ashjar hain in raston mein mere sar phir bhi saya kyun nahin hai burida-par nahin koi qafas mein parinda phir bhi udta kyun nahin hai agarche dastan meri hai phir bhi koi kirdar mujh sa kyun nahin hai baha deta hai kyun aansu mein 'talib' ghazal ke sher kahta kyun nahin hai