mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka jab apne taur yahi the to kya gila us ka wo apne zoam mein tha be-khabar raha mujh se use guman bhi nahin main nahin raha us ka wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane ab intizar karenge shikasta-pa us ka chalo ye sail-e-bala-khez hi bane apna safina us ka khuda us ka nakhuda us ka ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz' wo chahta tha magar hausla na tha us ka