mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

mizha pe khwab nahin intizar sa kuchh hai
bahaar to nahin aks-e-bahaar sa kuchh hai

mujhe mila na kabhi farsh-e-gul pe bhi aaram
yahi laga ki kahin nok-e-khar sa kuchh hai

jo pas tha isi sauda-e-sar ki nazr hua
na dhajjiyan hi bachi hain na tar sa kuchh hai

tamam umr jise main ubur kar na saka
darun-e-zat mere be-kanar sa kuchh hai

guzar gai mujhe chhu kar kisi khayal ki rau
ufuq se ta-ba-ufuq rang-zar sa kuchh hai

khayal-o-khwab hue sab visal ke lamhe
nazar mein sirf chamakta ghubar sa kuchh hai

ye haal hai ki hawaon se uljha jata hun
lahu mein ab ke ajab intishaar sa kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close