mohabbat hat rahi hai darmiyan se zamin takra na jae aasman se wo manzil sakht hai har imtihan se mohabbat rukh badalti hai jahan se hazaron mah-o-anjum hain tah-e-khak zamin kuchh kam nahin hai aasman se munawwar hain abhi tak wo maqamat main tere sath guzra hun jahan se zamin ki pastiyon mein kho gae hain zamin takrane wale aasman se meri aankhon mein aansu to bahut hain magar daman tera laun kahan se zamin ki khak tak de di zamin ko main daman jhad ke uttha jahan se maqam-e-ashiyan ki justuju mein guzar ja bijliyon ke darmiyan se musalsal imtihan hai zindagani kahin ghabra na jaana imtihan se banana hai mujhe khud apni manzil alag hun naqsh-pa-e-karwan se wahi duniya ulat dete hain 'shaarib' jo aksar kuchh nahin kahte zaban se