mohabbat kis se kab ho jae andaza nahin hota ye wo ghar hai ki jis ka koi darwaza nahin hota dilon ko dard ki tahzib se aabaad rakhti hai mohabbat mein kisi ko koi khamyaza nahin hota kahin koi na koi ek kami baqi hi rahti hai mukammal zindagi ka koi shiraaza nahin hota ajab begangi-o-na-shanasai ka aalam hai teri galiyon mein bhi ab mujh pe aawaza nahin hota hamesha hi yahan ek aabshaar-e-dard bahta hai ki dil ki mumlikat mein koi gham taza nahin hota kisi mahbub lamhe mein kisi viran raste par koi kab yaad aa jae ye andaza nahin hota bahut kuchh dil mein hota hai magar 'ashfaq' chehre par kisi ki yaad ka bikhra hua ghaza nahin hota