mohabbat ko hamesha se sharik-e-kar dekha hai adawat se har ek rishta yahan dushwar dekha hai yahan aapas mein ham-ahang hona hai bahut mushkil kabhi muflis bhi dekha hai kabhi zardar dekha hai uchhaali ja rahi hain pagdiyan ilzam hai sar par nahin gardan pe sar jis ke wahi sardar dekha hai masail dusron ke hal jo karte hain haqiqat hai unhin ke ghar mein uthte bich mein diwar dekha hai ajab hai haal ab kis par bharosa hum karen 'anjum' yahan par lutne walon ko pahre-dar dekha hai