mohabbat mein na jaane kyun hamein fursat ziyaada hai hamara kaam thoda hai magar mohlat ziyaada hai hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai ye dil bahar dhadakta hai ye aankh andar ko khulti hai hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai samajh pae nahin dekhe baghair us ka nazar aana mashaqqat kam se kam ki thi magar ujrat ziyaada hai tamasha-gah chaaron samt se pur-shor hai yani kahin jalwat ziyaada hai kahin khalwat ziyaada hai tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai ye sari aamad-o-raft ek jaisi to nahin 'shahin' ki duniya mein safar kam kam hai aur hijrat ziyaada hai