mohabbat tujh se wabasta rahegi jawedan meri tere qissa ke pichhe pichhe hogi dastan meri karengi dekhiye ulfat mein kya ruswaiyan meri jahan suniye bas un ka tazkira aur dastan meri qayamat mein bhi jhuti hogi sabit dastan meri kahega ek jahan un ki wahan ya mehrban meri bahut kuchh quwwat-e-guftar hai ai mehrban meri magar han samne un ke nahin khulti zaban meri qayamat ka to din hai ek aur qissa hai tulani bhala din-bhar mein kyunkar khatm hogi dastan meri wo ruswa-e-mohabbat hun rahunga yaad muddat tak kahani ki tarah har ghar mein hogi dastan meri sunaun us gul-e-khubi ko kyon main qalb ki haalat bhala nazuk-dimaghi sunne degi dastan meri kahun kuchh to shikayat hai rahun chup to musibat hai bayan kyunkar karun kuchh go-mago hai dastan meri akela manzil-e-mulk-e-adam mein zer-e-marqad hun wo yusuf hun nahin kuchh chah karta karwan meri ye dil mein hai jo kuchh kahna hai daman tham kar kah dun wo mere hath pakdenge ki pakdenge zaban meri phansaya dam mein sayyaad mujh ko khush-bayani ne abas par tu ne katre qata karni thi zaban meri na chhuta silsila wahshat ka jab tak jaan rahi tan mein wo majnun hun ki takhte par hi utrin bediyan meri mushabbak main bhi tir-e-ah se sine ko kar dunga lahad jab tak banaega zamin par aasman meri mohabbat but-kade ki dil mein hai aur qasd kaba ka ab aage dekhiye taqdir le jae jahan meri bhala wan kaun puchhega mujhe kuchh khair hai zahid main hun kis mein ki pursish hogi roz-e-imtihan meri tasadduq aap ke insaf ke main to na manunga ki bose ghair ke hisse ke hon aur galiyan meri musannif khub karta hai bayan tasnif ko apni kisi din wo sunen meri zaban se dastan meri fishaar-e-qabr ne pahlu dabae khub hi mere naya mehman tha khatir kyon na karta mezban meri qafas mein phadphadane par to par sayyaad ne katre jo munh se bolta kuchh kat hi leta zaban meri wo is surat se baad-e-marg bhi mujh ko jalati hain dikha di shama ko taswir hath aai jahan meri har ek jalse mein ab to hazrat-e-waiz ye kahte hain agar ho band mai-khana to chal jae dukan meri tariqa hai yahi kya ai lahad mehman ki khatir ka main khud be-dam hun tudwati hai nahaq haddiyan meri pasand aaya nahin ye roz ka jhagda raqibon ka main dil se baz aaya jaan chhodo mehrban meri hazaron hijr mein jaur-o-sitam tere uthae hain jo himmat ho sanbhaal ek aah tu bhi aasman meri ye kuchh apni zaban mein kahti hain jab panw ghista hun khuda ki shan mujh se bolti hain bediyan meri banaya ishq ne yusuf ko gard-e-karwan aakhir ki pichhe dil gaya pahle gai tab-o-tawan meri padhi ai 'bazm' jab main ne ghazal kat kat gae hasid rahi har marka mein tez shamshir-e-zaban meri