mohabbat wo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin sakta jo ho sakta hai wo bhi aadmi se ho nahin sakta ye kahna hai to kya kahna ki kahte kahte ruk jaana bayan-e-hasrat-e-dil bhi to ji se ho nahin sakta uchatti si nigahen kab jigar ke par hoti hain karo khun dost ban kar dushmani se ho nahin sakta hamein kyon dil diya aur dilrubai un mein kyon rakkhi khuda dushman buton ki bandagi se ho nahin sakta dam-e-rukhsat wo mujh ko dekh kar be-khud to kya hoga na uthne den unhen ye bhi ghashi se ho nahin sakta ba-rang-e-nala kis kis dhum se udta hai rang apna teri furqat ka parda khamushi se ho nahin sakta 'qalaq' paigham tera aur bayan phir us sitamgar se kisi se ho nahin sakta kisi se ho nahin sakta