muhaal tha ki ye tufan-e-rang-o-bu aae agar bahaar tera pairahan na chhu aae bayan-e-dard aur is anjuman mein diwano kahan dubo ke mohabbat ki aabru aae ye ungliyan ki ab ek jam ko tarasti hain kabhi unhin se sitaron ki nabz chhu aae na is qadar bhi takalluf se kaam lo ki sharab jo aae bhi to nazar khun-e-arzu aae hamara pi ke bahakna bhi kaam ka nikla ki mai-kade mein nae saghar-o-subu aae wo aaine the jo hairan ho gae 'khawar' jamal-e-dost hamare tu ru-ba-ru aae