muhtaj ham-safar ki masafat na thi meri sab sath the kisi se rifaqat na thi meri haq kis se mangta ki makinon ke sath sath diwar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri sach bol ke bhi dekh liya un ke samne lekin unhen pasand sadaqat na thi meri main jin pe mar mita tha wo kaghaz ke phul the rasmi mukalme the mohabbat na thi meri jo dusron ke dukh the wahi mere dukh bhi the kuchh aisi mukhtalif bhi hikayat na thi meri bas kuchh usul the jo ba-har-haal the aziz jaanam kisi se warna adawat na thi meri