mujh sa anjaan kisi mod pe kho sakta hai hadsa koi bhi is shahr mein ho sakta hai sath-e-dariya ka ye saffak sukun hai dhoka ye teri naw kisi waqt dubo sakta hai khud kuan chal ke kare tishna-dahanon ko ghariq aisa mumkin hai meri jaan ye ho sakta hai be-tarah gunjta hai ruh ke sannate mein aise sahra mein musafir kahan so sakta hai qatl se hath uthata nahin qatil na sahi khun se luthde hue hath to dho sakta hai jhum kar uthta nahin khul ke barasna kaisa kaisa baadal hai ki hansta hai na ro sakta hai juz mere rishta-e-anfas-e-girah-gir mein kaun guhar-e-ashk-e-sharar-bar piro sakta hai