mujhe ai ahl-e-kaba yaad kya mai-khana aata hai udhar diwana jata hai idhar mastana aata hai meri mizhgan se aansu pochhta hai kis liye naseh tapak padta hai khud jo is shajar mein dana aata hai ye aamad hai ki aafat hai nigah kuchh hai ada kuchh hai ilahi khair mujh se aashna begana aata hai dam-e-taqrir nale halq mein chhuriyan chubhote hain zaban tak tukde ho ho kar mera afsana aata hai rukh-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai jigar tak aate aate sau jagah girta hua aaya tera tir-e-nazar aata hai ya mastana aata hai wahi jhagda hai furqat ka wahi qissa hai ulfat ka tujhe ai 'dagh' koi aur bhi afsana aata hai