mujhe ai ham-nafas andesha-e-barq-o-khizan kyun ho meri parwaz mahdud-e-faza-e-gulsitan kyun ho junun ki wusaton par tang hai arsa do-alam ka jo sajda ho to phir sajda ba-qaid-e-astan kyun ho mere kaam aa gai aakhir meri kashana-bar-doshi sharar-o-barq ki zad par bhi mera aashiyan kyun ho gham-e-dil bhi jo ruswa-e-mazaq-e-am ho jae to phir in dastanon mein hamari dastan kyun ho pyalon ki khanak se bhi jahan dil tut jate hain wahan chhaya hua har bazm par khwab-e-giran kyun ho na main jaan-dada-e-saqi na main warafta-e-mutrib agar mahfil se uth jaun to mahfil bad-guman kyun ho main jis aalam mein hun apni jagah ai 'shor' tanha hun juda ho jis ki manzil wo rahin-e-karwan kyun ho