mujhe bujha de mera daur mukhtasar kar de magar diye ki tarah mujh ko mo'atabar kar de bikharte tutte rishton ki umr hi kitni main teri sham hun aa ja meri sahar kar de judaiyon ki ye raaten to katni hongi kahaniyon ko koi kaise mukhtasar kar de tere khayal ke hathon kuchh aisa bikhra hun ki jaisa bachcha kitaben idhar-udhar kar de 'wasim' kis ne kaha tha ki yun ghazal kah kar ye phul jaisi zamin aansuon se tar kar de