mujhe khabar nahin gham kya hai aur khushi kya hai ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai fughan to ishq ki ek mashq-e-ibtidai hai abhi to aur badhegi ye lai abhi kya hai tamam umr isi ranj mein tamam hui kabhi ye tum ne na pucha teri khushi kya hai tum apne ho to nahin gham kisi mukhalif ka zamana kya hai falak kya hai muddai kya hai salah-e-kar banaya hai maslahat se use wagarna naseh-e-nadan ki dosti kya hai dilon ko khinch rahi hai kisi ki mast nigah ye dilkashi hai to phir uzr-e-mai-kashi kya hai mazaq ishq ko samjhoge yun na tum naseh laga ke dil kahin dekho ye dil-lagi kya hai wo raat din nahin milte to zid na kar 'ahsan' kabhi kabhi ki mulaqat bhi buri kya hai