mujhe kuchh aur hi manzar dikhai deta hai ye shahr-e-khun ka samundar dikhai deta hai bana liya hai jo hum ne makan shishe ka har ek hath mein patthar dikhai deta hai isi khata pe ki ek din liya tha nam tera tamam shahr sitamgar dikhai deta hai jo hum nahin to 'jamal' aur koi hum jaisa ghamon ki dhup mein aksar dikhai deta hai