mujhe mili hai agar infiradiyat ki sanad bacha ke laya hun apni salahiyat ki sanad bhula diye hain alif-lailwi sabhi qisse ghazal ne jab se mujhe di jadidiyat ki sanad pareshan-haal hai har shakhs is zamane mein mili hai kis ko yahan khair-o-afiyat ki sanad tha apne shahr mein muddat se ajnabi ki tarah janab mujh ko mili aaj shahriyat ki sanad tum ek ahl-e-sukhan ho adab ke tare ho tum apne ahd se lo apni ahmiyat ki sanad khuda ka shukr hai a 'ram' is zamane mein main zinda hun hai yahi meri khairiyat ki sanad