mujhe sawal ki sharmindagi se uljhan thi

mujhe sawal ki sharmindagi se uljhan thi
wo mere puchhe bina har jawab rakhta tha

hamare hijr ke mausam guzarne ke liye
sirhane apne meri ek kitab rakhta tha

wo bhul jata tha khud par sitam jo ho jaen
magar jo mujh pe hon sare hisab rakhta tha

meri thaki hui aankhon mein pyas rahti thi
wo khwab khwab si aankhon mein aab rakhta tha

use pata tha mujhe lafz chhod jate hain
so meri ruh se aksar khitab rakhta tha

ye mard-o-zan ke tafarqon se us ko nafrat thi
wo har safar mein mujhe ham-rikab rakhta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close