mujhe tanhai ke gham se bacha lete to achchha tha

mujhe tanhai ke gham se bacha lete to achchha tha
safar mein ham-safar apna bana lete to achchha tha

shikast-e-fash ka gham zindagi jine se bad-tar hai
jhukane ki bajae sar kata lete to achchha tha

kabhi ashkon pe itna zabt bhi achchha nahin hota
ye chashma phir zarar dega baha lete to achchha tha

bhala kya faeda ab qabr pe aansu bahane se
agar man-bap ki pahle dua lete to achchha tha

shikayat se bhala 'sahil' hua hai faeda kis ka
gham-e-dil gar hansi mein tum chhupa lete to achchha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close