mujhe teri judai ka ye sadma mar dalega zamane bhar mein ruswai ka charcha mar dalega tumhaare nam se jaanan mera ye dil dhadakta hai ab aao hath rakh do warna dhadka mar dalega koi ghamgin mil jae to hansna bhul jata hun kisi din khair-khwahi ka ye jazba mar dalega charaghon mein lahu dalo hai ladni jang zulmat se wagarna ab ujalon ko andhera mar dalega zamin ke surkh manzar raat ko sone nahin dete kisi din mujh ko ye ehsas mera mar dalega zamin par ediyan ragdo ki ab chashma koi phute bahut zalim hai dariya hum ko pyasa mar dalega samundar par karna ishq ka aasan nahin 'shamsi' bhanwar se bach bhi jaen to kinara mar dalega