mujhe ye fakhr hai tum ko khayal rahta hai tumhaare zehn mein koi 'hilal' rahta hai abhi lagi hi nahin shohraton ki garm hawa abhi se khun mein itna ubaal rahta hai hazar koshishen kar ke tum us ko jodo magar jo tut jata hai is dil mein baal rahta hai faqat mujhe hi nahin gham judai ka us ki use bhi mujh se bichhad kar malal rahta hai ye sab hamari mohabbat ka ek sadqa hai jo us pe aaj bhi husn-o-jamal rahta hai