mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand donon hain khud-gharaz mujhe donon hain na-pasand ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand mashuq kar chuke hain jise bar-ha pasand jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand dushman ko kya tamiz hai dushman ki kya pasand jannat ki koi hur nazar par chadhi nahin duniya mein mujh ko ek pari-zad tha pasand rondi kisi ne pa-e-hinai se meri nash thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand wo bad-nasib hai jise aaya pasand tu qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand chidte hain wo sawal se ye hum samajh gae hai is liye unhen dil be-muddaa pasand surat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand tujh ko ghurur-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe zahid kise khabar ki khuda ko ho kya pasand choten chalengi khub barabar ki jod hai tu hai ada-shanas to main hun ada-pasand hir phir ke un ki aankh udu se lade na kyun fitna ko karti hai nigah-e-fitna-za pasand main khud sikha raha hun sitam ki ada unhen duniya mein kab hua koi mujh sa jafa-pasand rakh denge aaine ke barabar hum apna dil ya to ye na-pasand hua un ko ya pasand kis darja sada-lauh hain aashiq-mizaj bhi jo dhab pe chadh gaya wo unhen aa gaya pasand mera hi kya qusur ye mujh par sitam hai kyun aankhon ne dekha aap ko dil ne kiya pasand inkar sun chuke hain talabgar kyun banen milta nahin koi to hai be-faeda pasand 'bekhud' to mar mite jo kaha us ne naz se ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand