mujh ko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow hun qadd-e-amdam ghubar-e-karwan-e-lucknow khun-e-hasrat kah raha hai dastan-e-lucknow rah gaya hai ab yahi rangin-bayan-e-lucknow gosh-e-ibrat se sune koi meri fariyaad hai bulbul-e-khunin nawa-e-bostan-e-lucknow mere har aansu mein ek aaina-e-taswir hai mere har nale mein hai tarz-e-fughan-e-lucknow dhundhta hai ab kise le kar charagh-e-aftab kyun mitaya ai falak tu ne nishan-e-lucknow lucknow jin se ibarat thi hue wo napadid hai nishan-e-lucknow baqi na shan-e-lucknow ab nazar aata nahin wo majma-e-ahl-e-kamal kha gae un ko zamin-o-asman-e-lucknow pahle tha ahl-e-zaban ka daur ab gardish mein hain chahiye thi tegh-e-urdu ko fasan-e-lucknow marsiya-go kitne yakta-e-zamana the yahan koi to itnon mein hota nauha-khwan-e-lucknow ye ghubar-e-na-tawan khakistar-e-parwana hai khandan apna tha sham-e-dudman-e-lucknow chalta tha jab ghutniyon apne yahan tifl-e-razia sajda karte the use gardan-kushan-e-lucknow ahd-e-pirana-sari mein kyun na shirin ho sukhan bachpane mein main ne chusi hai zaban-e-lucknow gulshan-e-firdaus par kya naz hai rizwan tujhe puchh us ke dil se jo hai rutba-dan-e-lucknow bu-e-uns aati hai 'haidar' khak-e-matiya-burj se jama hain ek ja watan-awargan-e-lucknow