mujh ko tum se nahin gila koi dard-e-dil ki bhi hai dawa koi kya sunaun main qissa-e-shab-e-gham ibtida hai na intiha koi ittifaqat hain zamane ke teri mahfil se uth gaya koi zakhm-e-dil muskura utha aakhir dil se nala nikal pada koi rah-e-shauq-e-talab mein ai hamdam dhund hargiz na naqsh-e-pa koi justuju hai to un ki manzil ka mil hi jaega rasta koi muskuraun main kis tarah 'sabir' chaaragar hi nahin raha koi