mujh se aise wamanda-e-jaan ko bistar-wistar kya pal do pal ko mund lun aankhen warna ghar-war kya chhodo kya rona le baithe ranj-o-rahat ka qaid hi jab thahri hasti to behtar-wehtar kya main bhi sar takraata phira hun diwaron se bahut dhundh rahe ho is gumbad mein koi dar-war kya aakhir ko thak-haar ke mujh ko zamin par aana hai zor-o-shor-e-bazu kaisa shahpar-wahpar kya mere qalam hi se jab mera rizq utra hai jaana hai ek kar-e-ziyan ko daftar-waftar kya surat ek tarashunga to sau rah jaengi kyun patthar ko subuk karun main paikar-waikar kya baalida bar-awar hona mitti ho jaana sarsabz zarkhezi kaisi banjar-wanjar kya aab o sarab o khwab o haqiqat ek se lagte hain dida-wari kya aaina ka jauhar-wauhar kya mujh ko bahae le jati hai khud hi mauj meri mera rasta rok sakenge patthar-watthar kya rang-e-shafaq sabze ka nasha kuchh nahin aankhon mein dur khala mein dekh raha hun manzar-wanzar kya mera aur sahil ka rishta kab ka tut chuka 'zeb' kahan ka khema-e-kashti langar-wangar kya