mukhtasar si baat ko bhi masala kahte rahe zindagi mein aap ko kyun rahnuma kahte rahe be-wafa hone ka fatwa de diya un ne hamein umr-bhar jin ke sitam ko hum wafa kahte rahe kar diya mismar un ne ek pal mein qasr-e-dil jin ke khasta ghar ko bhi hum khush-numa kahte rahe har ghadi har waqt har pal har jagah be-khauf hum wo hamare the hamare hain sada kahte rahe dhire dhire chal diye us rah par hum bhi 'sabin' raat-din sab jis ko gham ki karbala kahte rahe