mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye

mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagda rakhiye
aap insan hain to insan se rishta rakhiye

baat karte hue mahfil mein saliqa rakhiye
apne aslaf ka kuchh taur tariqa rakhiye

gham ki tariki ka ehsas na hone pae
apne chehre pe tabassum ka ujala rakhiye

apne shane se mera hath jhatak dete hain
un ke aage jo kabhi arz-e-tamanna rakhiye

aasman zer-e-qadam rakhiye zamin par rah kar
ishq-o-ikhlas ka andaz nirala rakhiye

sath deta hai yahan kaun kisi ka 'sahil'
hausla apna har ek gam pe baala rakhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close