mumkin hai shab-e-hijr dua ka na asar ho hai raat wo kya raat ki jis ki na sahar ho thukra ke chale jaana hai bar-haq tumhein lekin bas rakhna khayal itna jahan ko na khabar ho wo shab jo sitaron se bhari ho to hamein kya pahlu mein agar tere meri shab na basar ho garja hai bade zor se baadal zara dekho bijli se giri jis pe kahin mera na ghar ho jiwan hai safar 'josh' ye taslim hai lekin mahbub ka ho sath to kya khub safar ho