murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha wo aadmi tha ghalat-fahmiyan bhi rakhta tha bahut dinon mein ye baadal idhar se guzra hai mera makan kabhi saeban bhi rakhta tha ajib shakhs tha bachta bhi tha hawadis se phir apne jism pe ilzam-e-jaan bhi rakhta tha dubo diya hai to ab is ka kya gila kije yahi bahao safine rawan bhi rakhta tha tu ye na dekh ki sab tahniyan salamat hain ki ye darakht tha aur pattiyan bhi rakhta tha har ek zarra tha gardish mein aasman ki tarah main apna panw zamin par jahan bhi rakhta tha lipat bhi jata tha aksar wo mere sine se aur ek fasla sa darmiyan bhi rakhta tha