musafir ke raste badalte rahe muqaddar mein chalna tha chalte rahe mere raston mein ujala raha diye us ki aankhon mein jalte rahe koi phul sa hath kandhe pe tha mere panw shoalon pe jalte rahe suna hai unhen bhi hawa lag gai hawaon ke jo rukh badalte rahe wo kya tha jise hum ne thukra diya magar umr bhar hath malte rahe mohabbat adawat wafa be-rukhi kirae ke ghar the badalte rahe lipat kar charaghon se wo so gae jo phulon pe karwat badalte rahe