musalsal ashk-bari kar raha tha main apni aabiyari kar raha tha mujhe wo khwab phir se dekhna tha main khud pe nind tari kar raha tha kai din tak tha meri dastaras mein main ab dariya ko jari kar raha tha mujhe ruk ruk ke panchhi dekhte the main patthar par sawari kar raha tha guzarna tha bahut mushkil udhar se daricha chand-mari kar raha tha koi atom tha mere jism-o-jaan mein main jis ki tab-kari kar raha tha safine sab ke sab gharqab kar ke samundar aah-o-zari kar raha tha mujhe fitrat bhi ghisti ja rahi thi main khud bhi reg-mari kar raha tha meri duty thi khemon ki hifazat magar main aab-dari kar raha tha sitare timtimana ruk gae the main phir akhtar-shumari kar raha tha mujhe bhidna tha kis wahshi se lekin main kis pagal se yari kar raha tha bahut se kaam karne the 'liyaqat' jinhen main bari bari kar raha tha