mushkilon mein pad gae apna khuda kah kar tujhe tu hi kah de hum pukaren aur kya kah kar tujhe haal-e-dil kahne ki kya ab bhi zarurat rah gai jab pukara hum ne apna dil-ruba kah kar tujhe jada-e-manzil pe kha kar thokaren hosh aa gaya kis qadar khush the hum apna rahnuma kah kar tujhe tere hote teri duniya mein ye bedad-o-sitam log pachhtane lage apna khuda kah kar tujhe ek zamana hum se ghussa hai ye hum ne kya kiya sab ko chhota kar diya sab se bada kah kar tujhe sari duniya se adawat mol le li muft mein hum ne apna dost apna ham-nawa kah kar tujhe aah ye apna safina aur girdab-e-bala sakht sharminda hue hum nakhuda kah kar tujhe kis tarah ye hum wafadaron se dekha jaega log mahfil mein pukaren bewafa kah kar tujhe aur bhi un ki nigahon mein mohazzab ho gaya kya mila 'sarshaar' dil ka majra kah kar tujhe