muskan labon par aankhon mein taron ka sajaana mushkil hai dil todna hai aasan lekin rote ko hansana mushkil hai hai kanch sifat dil sine mein jab tutta hai phir judta nahin jis chiz se dil uth jata hai phir us se lagana mushkil hai ai bulbul-e-dil yun gham pi kar mat chahak ki ab lab ko si le sab saz burida-haal hue ab rag purana mushkil hai ai khair-talab afrad chalo apni jaanen qurban karen be-khun bahae duniya ko ghaflat se jagana mushkil hai tum kaghzi kashti mein dariya ko par karo tab samjhoge ashkon se labaalab aankhon mein kyun khwab sajaana mushkil hai mana ki muqaddar hai furqat lazim hai judai bhi lekin in sard andheri raaton mein dil ko samjhana mushkil hai