na aap aae na bedad-e-intizar gai ye raat phir meri aankhon se aaj haar gai liye hue koi afsana-e-bahaar gai saba chaman se bahut aaj sogwar gai hui jo subh to ashkon se jagmaga utthi jo aai sham to yaadon se mushk-bar gai isi nigah ne mara alam-paraston ko wahi nigah meri zindagi sanwar gai zamin-e-ku-e-malamat bhi khair rah mein thi kahan kahan liye mauj-e-khiram-e-yar gai