na bewafai ka dar tha na gham judai ka maza mein kya kahun aaghaz-e-ashnai ka kahan nahin hai tamasha teri khudai ka magar jo dekhne de roab kibriyai ka wo na-tawan hun agar nabz ko hui jumbish to saf jod juda ho gaya kalai ka shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho ki jod de koi tukda shab-e-judai ka ye josh-e-husn se tang aai hai qaba in ki ki band band hai khwahan girah-kushai ka kaman hath se rakh said-gah-e-irfan mein ki tir said hai yan dam-e-na-rasai ka wo bad-nasib hun yar aae mere ghar to bane simat ke wasl ki shab til rukh-e-judai ka hazaron kafir o momin pade hain sajde mein buton ke ghar mein bhi saman hai khudai ka tamam ho gae hum pahle hi nigah mein haif na raat wasl ki dekhi na din judai ka nahin hai mohr lifafa pe khat ke ai qasid ye dagh hai meri qismat ki na-rasai ka naqab dal ke ai aaftab-e-hashr nikal khuda se dar ye kahin din hai khud-numai ka nahin qarar ghadi bhar kisi ke pahlu mein ye zauq hai tere nawak ko dilrubai ka mari taraf se koi ja ke kohkan se kahe nahin nahin ye mahal zor-azmai ka kaha jo main ne ki main khak-e-rah hun tera to bole hai abhi pindar khud-numai ka junun jo meri taraf ho wo jast-o-khez karun ki dil ho tut ke tukde shikasta-pai ka 'amir' rawayye apne nasib ko aisa ki ho saped siyah abr na-rasai ka
This is a great hamari jodi shayari. Please share if you liked this!!!