na bhul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte

na bhul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte
chaman ke phul agar teri aarzu karte

janab-e-shaikh pahunch jate hauz-e-kausar tak
agar sharab se mai-khane mein wazu karte

masarrat aah tu basti hai kin sitaron mein
zamin pe umr hui teri justuju karte

ayagh-e-baada mein aa kar wo khud chhalak padta
gar us ke mast zara aur hao hu karte

unhen mafar na tha iqrar-e-ishq se lekin
haya ko zid thi ki wo pas-e-abru karte

pukar uthta wo aa kar dilon ki dhadkan mein
hum apne sine mein gar us ki justuju karte

gham-e-zamana ne majbur kar diya warna
ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte

giran tha saqi-e-dauran pe ek saghar bhi
to kis umid pe hum khwahish-e-subu karte

junun-e-ishq ki tasir to ye thi 'akhtar'
ki hum nahin wo khud izhaar-e-arzu karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close